Corona Hindi Song's Lyrics

Corona Song Lyrics|New Corona Song’s Lyrics

Corona song lyrics – is gaane ke dwara logo me awareness (jaagrukta) laane ka prayaas kiya gaya hai or saath hi yah bataaya gayaa hai ki corona se dare nahi, saavdhaan rahne ki zarurat hai.

Corona Song Lyrics

Corona Song Lyrics hindi me –

फैला है संसार में,
विकट कोरोना रोग,

उन्हें रोग यह न लगे,
दूर – दूर जो लोग,

दूर – दूर जो लोग,
कभी मत हाथ मिलाओ,

कितना भी हो आत्मीय,
मत गले लगाओ,

कहते है अनजान,
रोग यह बड़ा विषैला,

ज्यादा प्रेम दिखने से ही,
है यह फैला.

का से कोरोना,
ख से खदेड़ो,

इसको दूर भगाओ,

ग से गड़बड़ करो न,
घ से घर में समय बिताओ.

ड का स्थान है खाली,
बजे करोड़न ताली.

च से चलकर टहलो घूमो,
च से चलकर टहलो घूमो,
छ से छत के ऊपर

ज से जो भी मिले नमस्ते करो,
न लेकिन, छूकर.

झ से झंझट पड़ा देश पर,
झ से झंझट पड़ा देश पर,
मिलकर इसे सम्हारो.

हे माँ दुर्गा कृपा करो,
संकट है विकत, उबारो.

जा कस्थान है खाली,
बजे करोड़न ताली.

ता से टालमटोल करो न,
ठ से ठोकर मारो,

शत्रु खड़ा ललकार रहा है,
अब इसको संहारो.

ड से डटकर करो सामना,
ड से डटकर करो सामना,
इससे तनिक डरो न.

ढ से ढक लो आँख नाक मुंह,
भागे रोग, कोरोना.

न का भी स्थान है खाली,
बजे करोड़न ताली.

त से ताली खूब बजाओ,
त से ताली खूब बजाओ,
थ से बजाओ थाली.

ड से दान करो कुछ उनको,
जिनका पेट है खाली.

ढ से धीरज धरो, भरो न,
न से नैनं नीर,

प से पानी में धोकर,
फ से फल खाओ वीर.

ब से बालक वीर बनो,
ब से बालक वीर बनो,
अब तो हिम्मत हारो न,

भ से भारत देश छोड़कर,
भागे रोग कोरोना.

म से मत फैलाओ कोई,
म से मत फैलाओ कोई,
झूठ मुठ अफवाह,

देश में कोई आज कहे न,
दुनिया बोले वह.

य से यह है देश हमारा,
य से यह है देश हमारा,
सुन्दर और सलोना,

र से रण में आज दिखा दो,
छप्पन इंची सीना.

ल से लड़ना जोर लगाकर,
ल से लड़ना जोर लगाकर,
दांव लगा दो ऐसी,

व से वार करो उसकी,
हो जाए ऐसी – तैसी.

श से श्चिश्च झुकाओ शिव को,
श से श्चिश्च झुकाओ शिव को,
जो है औघड़ दानी,

श्ह से शहदानं, अस्त्र उठाओ,
मिट जाए अभिमानी.

स से सबक सीखा दो उसको है,
ह से हे हनुमान,

क्ष से क्षमाशील बनकर,
अब करो न ऐसा काम.

आओ देश सम्हालो,
त्र से है त्रेता के राम,

ज्ञ से ज्ञानवान बनकर,
हम करें, विश्व कल्याण.

जय जय भारत वर्ष देश की,
जय जय हिन्दुस्तान.

जाती धर्म अरु संस्कृति,
भाषा भेष अनेक,

पर संकट के समय में,
रहो सदा ही एक,

रहो सदा ही एक,
एकता में बल भारी,

उनसे रहिये दूर सदा,
जो विघटनकारी.

अब अनजान न कीजिये,
राष्ट्र विरोधी बात,

विकट कोरोना देखता,
नहीं धर्म अरु जाती.

जलाई करोड़न डीप ज्योति लखि,

कहते लाल बिहारी,

दांत दबाकर भागे कोरोना,

दिखाई दुनिया सारी.

CORONA SONG LYRICS english ME –

faila hai sansaar me,
vikat karona rog,

unhe rog yah na lage,
door door jo log,

door door jo log,
kabhi mat haath milao,

kitna bhi ho aatmiya,
mat gale lagao,

kahte hai anjaan,
rog yah badaa vishaila,

jyada prem dikhane se hi,
hai yah faila.

ka se corona,
kha se khadedo,

isko door bhagao,

ga se gadbad karo na,
gha se ghar me samay bitao.

d ka sthaan hai khaali,
baje karodan taali.

cha se chalkar tahlo ghumo,

cha se chalkar tahlo ghumo,
chha se chhat ke upar,

ja se jo bhi mile namaste karo,
na lekin, chhukar.

jhha se jhanjhat padaa desh par,

jhaa se jhanjhat padaa desh par,
milkar ise samhaaro.

he maa durga kripa karo,
sankat hai vikat, ubaaro.

ja kasthaan hai khaali,
baje karodan taali.

ta se talmatol karo na,
thh se thhokar maaro,

shatru khadaa lalkaar raha hai,
ab isko sanhaaro.

da se datkar karo samnaa,

da se datkar karo samnaa,
isse tanik daro na.

dhh se, dhhak lo aankh naak munh,
bhaage rog, korona.

n ka bhi sthaan hai khaali,
baje karodan taali.

ta se taali khoob bajao,

ta se taali khoob bajao,
thha se baajai thaali.

da se daan karo kuchh unko,
jinka pet hai khali.

dhha se dhiraj dharo, bharo na,
na se nainan neer,

pa se paani me dhokar,
phha se fal khao veer.

ba se baalak veer bano,

ba se baalak veer bano,
ab to himmat haaro na,

bha se bharat desh chhodkar,
bhage rog korona.

ma se mat failao koi,

ma se mat failao koi,
jhuthh muthh afvaah,

desh me koi aaj kahe na,
duniya bole, vaah.

ya se yah hai desh hamaara,
ya se yah hai desh hamaara,
sunder aur salona,

ra se ran me aaj dikha do,
chhappan inchi, sina.

la se ladna jor lagaakar,
la se ladna jor lagaakar,
daanv lagaa do aisi,

va se vaar karo uski,
ho jaaye aisi – taisi.

sha se shhishh jhukao shiv ko,
sha se shhishh jhukao shiv ko,
jo hai aoghad daani,

shha se shhadaanan, astra uthao,
mit jaaye abhimaani.

sa se sabak sikha do usko,
ha se he hanuman,

kshh se kshhamaashil bankar,
ab karo na aisa kaam.

aao desh samhaalo,
tra se hai treta ke raam,

gya se gyaanvaan baknar,
ham karen, vishva kalyaan.

jai jai bharat varsh desh ki,
jai jai hindustaan.

jaati dharm aru sanskriti,
bhasha bhesh anek,

par sankat ke samay me,
raho sadaa hi ek,

raho sadaa hi ek,
ektaa me bal bhaari,

unse rahiye door sadaa,
jo vighatankaari.

ab anjaan na kijiye,
rashtra virodhi baat,

vikat karona dekhta,
nahi dharm aru jaati.

jalai karodan deep jyoti lakhi,

kahte laaal bihaari,

dant dabaakar bhage karona,

dekhai duniya saari.

Credit’s –

Singer – Saurabh Mani Tripathi
Lyrics – Lal Bihari Tripathi

Read More….

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *